Imam Maula Hussain Song Lyrics

Imam Maula Hussain Song Lyrics in Urdu Songs Lyrics

Imam Maula Hussain Song Lyrics in latest Urdu songs and it is created by Hafiz Ghulam Mustafa Qadri Siddiqui and licensed by The Orchard Music. The song is produced under the Hafiz Ghulam Mustafa Qadri music label.

Imam Maula Hussain Song Lyrics in Urdu

Allah ki raza hai mohabbat Hussain ki
Likhta hoon khoon e dil se shahadat Hussain ki
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali

Jab Karbala mai aaye dularaay Batool ke
Sher e khuda ke Laal nawasaay Rasool kay
Charo(n) taraf say gher liya fouj e shaam ne
Ye zulm Sayyado(n) pe kiya fouj e shaam ne

Ik zakhm dil pe aur bhi gehra laga diya
Darya pe bhi la’eeno(n) ne pehra laga diya
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali

Zainab ne jab nigahoo(n) se dekha ye majra
Aa kar kaha Hussain se bhayya suno zara
Karti hun is ghareebi main mai aakhri sawal
Khidmat mai leke aayi hoon mai apne dono laal

Mana ke ye tumhari behen ka qarar hai
Pyaray Hussain tujh pe ye bachchay nisaar hain
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali
Ya Hussain ibn e Ali, Ya Hussain ibn e Ali

Zainab ki baat sun ke shah e deen ro diye
Jaise kisi ne rooh mai nishtar chubho diye
Farmaya jaao rann ki ijazat bhi hum ne di
Inko shaheed hone ki izzat bhi hum ne

Also Read: Tere Darbar Mein Maiyya Song Lyrics in Urdu Songs

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *